Wednesday, April 8, 2015

hazaron rang ke phoolon ka ek guldan lagta hai

hazaron rang ke phoolon ka ek guldan lagta hai
jahan mein sabse pyara apna hindustan lagta hai

kisi ka dil dukha dena bahut aasan lagta hai
jo dil ko jod de veh sahibe eman lagta hai

baha kar khune nahak jo pasheman bhi nahin hota
libase aadmi mein veh hamein haiwan lagta hai

ye hai us dubte insan ki mayusi ki sachchae
use tinke bhi aise waqt mein bhagwan lagta hai

kabhi usne bhi meethe phal diye the daure mazi mein
jo budha ped tum ko aaj kar bejan lagta hai

'jamil' ab jazbae insaniyat dhundhun kahan jakar
"zamana aadmi ke dard se anjan lagta hai"

Jamilurrehman ' Jamil' Jhansvi