Monday, April 13, 2015

subh nau aaj muskuree hai

subh nau aaj muskuree hai
zindgi mein bahar aae hai

rahe ulfat mein rakh diya hai qadam
aashqi daun par lagae hai

khak ho jaoon phir to samjhoge
kis ne kis se wafa nibhae hai

aaene mein mujhe utar ke dekh
mere rag rag mein parsae hai

bik na jaun kahin sare bazar
sab ne boli meri lagae hai 

ye shaur aise hi nahin aaya
waqt ki maar usne khae hai

kitna mayuskun hai mustaqbil
samne nafratoon ki khae hai

jab bhi uski ana pe chot lagi
khudsari kaise muskurae hai

muflisi hai miri baqar 'jamil'
band mutthi miri gadae hai 

jamilurrehman 'jamil' jhansvi