Saturday, April 11, 2015

husn ki mein vo hasin tasvir hoon

husn ki mein vo hasin tasvir hoon
titliyon ke jism par tehrir hoon

mere chehre se ayan har baat hai
dekhiye mein waqt ki tasvir hoon

hanth apna dur hi rakhiye huzur
mein kisi ke paun ki zanzir hoon

doston ke vaste hoon misle gul
dushmano ke vaste shamshir hoon

mujhse manzil ka pata mat puchiye
mein to khud bhatka hua rahgir hoon

jisko dekha tha kabhi 'Iqbal' ne
mein usi hi khwab ki tabir hoon

Iqbal banne 'jhansvi'