Wednesday, March 18, 2015

abhi se sehne gulistan pe dil nisar na kar

abhi se sehne gulistan pe dil nisar na kar  
farebkar nazron ka aitbar na kar 

bajuz khizan nahin kuch bhi hamari qismat mein
hamare samne ab zikre nau bahar na kar

abhi to aur bhi kante hain rahe ulfat mein
abhi se paun ke chale ka kuch shumar na kar

ye basti hazrate naseh ki ha aree saqi
yahan pe shishao sagar ka karobar na kar

ye iltija hai miri tujhse aye mire malik
ki zalimon ke sitam ka mujhe shikar na kar

jahan mein roshni 'Iqbal' hai mohabbat se
ise kuch aur badha iska ikhtisar na kar

Iqbal Banne Jhansvi