Sunday, March 22, 2015

jis haseen surat ko hum ek chand ka tukda kahein

jis haseen surat ko hum ek chand ka tukda kahein
ye jahan vale usi ka humko deewana kahein

tu hi mehro maah mein phoolon mein tu zarron mein tu
kyun na har shai mein khuda tera hi jalwa kahein

thak gayein sun-sun ke vo bhi apne gham ki dastan
ghar ki deewaron se tanhae mein hum kya-kya kahein

sun ke jo chalta nahin rahe sadaqat dosto
kyun na aise shaks ko behra kahein andha kahein

bunte-bunte jaal makdi phas gae khud jaal mein
unki es danishvari ko log aakhir kya kahein

aaene insan ki achae kya batleinge
hai vahi achcha ki jisko log sab achcha kahein

log rahat ki jagah duniya ko kehte hain magar
phalsafi 'Iqbal' duniya ko faqat dhoka kahein

Iqbal Banne ' Jhansvi '

1 comment:

PurpleMirchi said...

Thanks for sharing valuable information ! Send Online Cakes to India