Thursday, March 19, 2015

ghardishe dauran ne mere dil ko murda kar diya
chin li khushiyan jhapat kar aur tanha kar diya

mehbe hairat hai zamana kam aisa kar diya
koshishon ne aapki uncha tiranga kar diya

azme mohkam ki kiran se pa hi lenge roshni
chandi raaton ne ghar phir se andhera kar diya

main tiri shane karimi ka bayan kaise karun
tune adna shaks ko pal bhar mein aala kar diya

badchalan logon ko ghar mein hi na aane dijiye
ye buzurgon ne kitabon mein khulasa kar diya

uski tasviron se batein kar liya karte hain hum
kanch ki gudia ne aangan jab se suna kar diya

dagmagaya tha masaeb se mira eman magar
sabre sabir ne usee 'Iqbal' pukhta kar diya

Iqbal Banne Jhansvi