Tuesday, March 31, 2015

jis hasin surat ko hum ek chand ka tukda kahein

jis hasin surat ko hum ek chand ka tukda kahein
ye jahan wale usi ka humko dewana kahein

tu hi mehromah mein phoolon mein tu zarron mein tu
kyun na har shai mein khuda hum tera hi jalwa kahein

thak gaein sun-sun ke vo bhi apne gham ki dastan
ghar ki diwaron se tanhaee mein hum kya kya kahein

sun ke chalta nahin rahe sadaqat doston
kyun na aise shaks ko behra kahein andha kahein

bunte bunte jaal makdi phas gae  khud jaal mein
uski es danishwari ko log aakhir kya kahein

aaena insan ki achchae kya batlaegein
hai wahi achcha ki jisko log sab achcha kahein

log rahat ki jagah duniya ko kehtein hain magar
phalsafi 'Iqbal' duniya ko faqat dhoka kahein

Iqbal banne 'Jhansvi'