Saturday, October 4, 2008

ahde masti ke eshare ab kahan

ahde masti ke eshare ab kahan
vo mohabbat ke sitare ab kahan

vo ghana bargad bhi ab apna nahin
tum hamare hum tumhare ab kahan

dosti sahil ki hai toofan se
dhundte ho vo kinara ab kahan

chand sharmata tha apne chand se
umre-nau ke vo nazare ab kahan

qabr main soye to bole yaar bhi
“shad” achche thee bechare ab kahan

shriram arroa "shad"

No comments: