Tuesday, October 14, 2008

la-elaj sa ek aazar hai ye zindgi

la-elaj sa ek aazar hai ye zindgi
har taraf bazar hi bazar hai ye zindgi

ek nazar dekh kar nazar andaz kar diya
mano kal ka basi akhbar hai ye zindgi

char din ki chandni kehne wale keh gaye
aur uske baad main andhkar hai ye zindgi

hank dega uus taraf hi jis taraf vo chahega
aajkal kis qadar lachar hai ye zindgi

char roti ke liye hai chinazapti es tarah
lagne laga hai aab bekar hai ye zindgi

hogi tumhare vaste rasgulla jalebi rabdi
apne liye to mirch ka achar hai ye zindgi

chand sikke phenk kar chahe jab bhi dekhlo
har waqt bikno ke liye taiyar hai ye zindgi

mera vatan hai meri jaan meri dharti meri maa
jiske liye mitne ko taiyar hai ye zindgi

ramesh kataria "paras"