Saturday, October 4, 2008

batao kya sunoge

batao kya sunoge

batao kya sunoge
jo kabiz mulk pe hain unka ya asal haqdar ka qissa
kisi ki jeet ka qissa, kisi ki haar ka qissa
khula hai har gali-kunche main uus bazaar ka qissa
kisi ke tan-badan ke hote karobar ka qissa
batao kya sunoge

jo ronde ja rahe hain lokshahi ke zamane main
jo uljhe hain bhagat sing ki shahadat ke fasane main
enhin lashon ke upar jut gaye kursi jutane main
qafan ko baichkar lashon ka bhi paisa kamane main
batao kya sunoge

kisi neta ki rangi raat ki ya dastan kehdoon
ki aise zalimon ko boliye to meharban kehdoon
jahan khilte nahin hain phool jahan usko gulistan keh doon
agar tum kehdo to dharti ko bhi main aasman keh doon
batao kya sunoge

sukun din ko nahin hai uljhano main raat jati hai
kahein kaise bhi koi baat to vo baat jati hai
ye kaisa daur hai nangi jahan barat jati hai
yun lagta hai mujhe jaise ye qayenat jati hai
batao kya sunoge

ye lambi dastan hai khatm hone ko nahin aati
ye qadvi bail hai kyun saste main ye kat nahin jati
paheli hai ajab duniya ese suljha nahin paati
ese hum “shad” suljhate hain to ye aur ulajhti
batao kya sunoge

shriram arroa "shad"

No comments: