Thursday, October 16, 2008

rakhi jisne lagakar dil se ye urdu zaban sadiyon

rakhi jisne lagakar dil se ye urdu zaban sadiyon
chali uske yahan tehzeeb ki purvaeyan sadiyon

hamein badnam karne ki sayasat chood do varna
dikhae dega duniya main tumhein har su dhuan sadiyon

khuda ke vaste tum raakh ke dheron ko mat chedo
agar chingariyan sulgegein to utthega dhuan sadiyon

kahde rehna akele chahete ho tum bulandi par
akele reh nahin sakta khada uncha makan sadiyon

bichad jate hein ek din hai bichadna jin ki kismat mein
hamesha sath rehte hein kahan tero kaman sadiyon

mujhe barbad karke chain se tum so nahin jana
jadein meri raheingi uus zamin mein hi nihan baron

vo choti seep hai jo ek moti ko banati hai
vahi moti to rakhna hai ese zinda yahan barson

yaqinan kamyabi ek din hasil tujhe hogi
kabhi leta nahin allah sabka imtahan sadiyon

mitane ki hazaroon koshishein karle jahan phir bhi
yahan zinda rahegi dekhna urdu zaban sadiyon

"nasim' etrana etna chand lamhon ki hai ye duniya
raha hai mom ka kiska yahan par aashyan sadiyon

nasim tikamgarhi