Wednesday, October 15, 2008

nazar se dour rehkar bhi sada tum paas rehte ho

nazar se dour rehkar bhi sada tum paas rehte ho
hazaron milte hain har din magar tum khas rehte ho

yahi bas aas hai mujhko ki paas aaoge tum ek din
esi ummid se kate hain meine kitne din ek din

beicheini jab bhi hoti hai, tumhein mein yaad karti hoon
samay jo sath guzre thee usi main khoee rehti hoon

vo meri zulf main khona, mujhe bahoon main bhar lena
pyar eskadar karna meri sudh-budh ko har lena

hanthoon main hanth hota tha, dono ka sath hota tha
jawan sapne sanwarte thee, yahi jawab hota tha

thi sanson main vo garmahat badan mera tha jal jata
kahan socha bujhane vala hi hai mujhko chal jata

milan ki uus ghadi ko yaad kar lena jo khoya hai
hoee har din meri aankhein kabhi kya tu bhi roya hai

pramila sharma