Thursday, October 16, 2008

sitam karta raha hum par musalsal yeh jahan barson

sitam karta raha hum par musalsal yeh jahan barson
musalsal aur hum karte rahe aaho fungan barson

kisi ne jab bhi kholi hai zaban haq baat kehno ko
to phir dhaye hain duniya ne sitam uuspar yahan barson

koi faryad mazlumoon ki yeh sunte nahin hakim
gharib insan karte rehte hain aahon fungan barson

mite hum uski khatir dekhiye rahe mohabbat main
raha na meharban hum par hamara meharban barson

lagayein ekta ka aaj nara hum sabhi milkar
rahe jisse vatan main har taraf amnon aman barson

na badhkao har ek janib khudara aag nafrat ki
jo bhadhki aag nafrat ki to uththega dhuan barson

"urooj" ek din vo aayega fana ho jayega sab kuch
kamane main laga rehta hai phir bhi ye jahan barson

urooj jhansvi