Wednesday, October 1, 2008

ye kaisi lokshahi hai

ye kaisi lokshahi hai

ye kaisi lokshahi hai
ismain edhar kuan hai to udhar khae
ye kaisi lokshahi hai


netaon ki to dekho hai zindhi satrangi
janta ko maro goli, bhonki rahe ya nangi
apno ne kasise dekho, apno se chot khae

ye kaisi lokshahi hai


kae sal ho gaye hain, behal ho gaye hain
hum-tum bhatak-bhatak kar badhal ho gaye hain
lagta hai aisa jaise satta ho ab parae

ye kaisi lokshahi hai

aayog chal rahe hain gunde machal rahe hain
parde ke piche jane, kya nag pal rahe hain
kissa hai kursiyon ka, kursi ki hai ladae

ye kaisi lokshahi hai

aazad hain to kya hai, apno ki hai gulami
chache bilakh raken hain, jhuton ko hai salami
muflis ka peit kante, khane ko khud malae

ye kaisi lokshahi hai

kuch khwab thee tumhare, kuch khwab hain hamare
tumne kiye hai puree, hum rah gaye bechare
vada vafa bhi karte, jo aankh thi milaye

ye kaisi lokshahi hai

vade bahut kiye thee aur vote bhi liye thee
tumne hamari aankhon main kwab bun diye thee
uus rah par chale hum, jo thumne thi sujhae

ye kaisi lokshahi hai


shriram arora “shad”

No comments: