Saturday, October 4, 2008

qatil ko bhi to merharban kehna padta hai

qatil ko bhi to meharban kehna hi padta hai
dharti ko aksar aasman kehna hi padta hai

jo rondte gulon ko, jo todte paron ko
saiyad ko bhi baghvan kehna hi padta hai

hum jante hain ye ki tum ab nahin hamare
tumko bhi apna humzaban kehna hi padta hai

khushiyan to lut gaein hain sang pyar ke tumhare
par khud ko phir bhi shadman kehna hi padta hai

jabse gaye ho tum to hum dhoop main khade hain
es dhoop ko bhi saiban kehna hi padta hai

shriram arroa "shad"

No comments: