Sunday, October 12, 2008

raha humse khafa jab tak ye zalim aasman barson

raha humse khafa jab tak ye zalim aasman barson
hamare qalbe muztar par raha daure khizan barson

tajalli ek pal dekhi raha mehve saman barson
khuda shahid hai phir din mein raha dade nihan barson

wafa keshane ulfat ne vo sazda reziyan kyon thin
mite uus sange dar se phir na sazdon ke nishan barson

vo karke qatal mera khud sukun se phir na reh paya
ke daman pe rahe uske, mere khun ke nishan barson

mila ab tak na koi bhi sila rahe mohabbat mein
diye hein ishq main humne bhi yaron imtihan barson

khilafe vaza koi baat hai to darguzar kijiye
ghalatfehmi ke bayas dil mein rehta hain guman barson

kiya phoolon ko gulshan se juda jis din se gulchin ne
gulon ke sath shabnam bhi rahi giriyahkuna barson

humein yun kam nigahi se na dekh aye gardishen dauran
rahe hum bhi zamane mein amire karvan barson

kiya makhmuur ruye dilbarjan ne "jamil" aisa
ke vo chehra raha mere liye taskine jaan barson

haji jamil-ur-rehman "jamil"

1 comment:

shahir said...

asslamualekum
haji jamil sahab ne bahut achhi ghazal kahi hai unki do char ghzalain aur pesh kare to behtar rahega