Wednesday, October 8, 2008

nagfani se dil chehre guldaste hain

nagfani se dil chehre guldaste hain
kuch aise bhi log yahan par baste hain

bik jate hain bas thode hi paison main
logon ke eman bhi kitne saste hain

maa bhichde to samjhe mamta ki qeemat
maa ki mamta ko hum aaj taraste hain

sanpon ko aise dasne ka ilam kahan
jaise insanon ko insan daste hain

ye kaisa sach bol raha hai tu mujhse
kyun alfaz gale main tere phanste hain

muflis ko sawan se kya matlab "sharib"
uske ghar to sawan roz baraste hain

abdul jabbar "sharib"

No comments: