Thursday, October 16, 2008

raha mumtaz ke gham main pareshan shahjahan barson

raha mumtaz ke gham main pareshan shahjahan barson
bhula na payega uski nishani yeh jahan barson

hazaron mile ki doori pe hai uus-se zamin yaro
tarasta hi raha milne ko uus-se aasman barson

bhatakta hi raha vo darbadar anjan rahon par
mili na koi bhi manzil na koi karvan barson

zamin se aasman ka ho milan mumkin nahin yaro
rahe yun phasle uske hamare darmiyan barson

khilona jan kar khela kiya, toda kiya dil ko
raha na meharban hum par hamara meharban barson

yeh aahein, ashq aur gham ki kahani hai ro ro kar
sunate hi rahe duniya ko apni dastan barson

umar ashq " jhansvi"