Sunday, October 12, 2008

guzari zindgi ro-ro ke zere aasman barson

guzari zindgi ro-ro ke zere aasman barson
raha na meharban hum par hamara meharban barson

na jane kis qadar ehsase shiddat badh gaya dil mein
tadap mehsus karke bhi rahe hein bezaban barson

hue hai parvarish bachchon ki bhi dehshat ke saye mein
rahe mazlum ki bhi aankh se aansu ravan barson

esi kirdar se qayam raha saiyyad se rishta
qafas mein hi raha bulbul ka dekho aashiyan barson

"nayaz" hum ho gaye furqat main phir to beniyaz eise
firaqe yaar main taqte rahe hain kehkashan barson

mohammad nayaz "mahobvi"