Thursday, October 16, 2008

liya hai gardishon ne har qadam par imtihan barson

liya hai gardishon ne har qadam par imtihan barson
rahe hein zindgi ki thokron main hum yahan barson

adalat se karein insaf ki um-mid hum keise
yahan qanon ki udti rahi hein dajjiyan barson

gazal ki aabru hum hain, gazal ke rehnuma hum hain
hamari pairyi karta rahega ye jahan barson

tumhare har sitam ko hanste hanste seh liya humne
hamara zarf thaa kholi nahin phir bhi zaban barson

hamare munh se roti ka nivala chin kar "kaifi"
gharibi pe sitam karte rahe zalim yahan barson

farooq "kaifi"