Wednesday, October 1, 2008

khabar hi nahi hai

khabar hi nahi hai

kahan se chale the kahan ja rahe hain
ye kis jurm ki hum saza pa rahe hain

na manzil ka hai koi bhi ab thikana
khabar hi nahin hai kahan hamko jana
hai jivan to jine ka bas ek bahana
hanse ja rahe hai ye hum pe zamana
vo dhokhe pe dhokhe diye ja rahe hain

kahan se chale the kahan ja rahe hain

sadan jo hai mandir na usko bhi choda
banaya hai qanon ko khud ka ghoda
jidhar chahe roka, jidhar chahe moda
hai janta ke hantho main khali katora
khilonon se janta ko behla rahein hain

kahan se chale the kahan ja rahe hain

ye neta hai ya koi daku lutere
ye kursi ke bhokhe na tere na mere
yahi hone dete nahin hai savere
ye din ke ujalon main bantein andhere
magar phir bhi dekho ye itra rahein hain

kahan se chale the kahan ja rahe hain

ye dharmo ke jhagde, ye zaton ke jhagde
nahin koi batein, bebaton ke jhagde
aman ke liye ehtiyaton ke jhagde
sadan main hue doo-doo hantho ke jhagde
ghlat kam karke bhi itra rahein hain

kahan se chale the kahan ja rahe hain

jo tufan se kashti thi humne nikali
gaee inse dekhi na vo bhi sambhali
na socha, na samjha, bhanvar main phasali
gharon ko jalaya, diwali manali
abhi “shad” khud se hi ghabra rahe hain

kahan se chale the kahan ja rahe hain

kahan se chale the kahan ja rahe hain
ye kis jurm ki hum saza pa rahe hain

shriram arora “shad”