Tuesday, September 30, 2008

jagah jagah par mandir masjid

jagah jagah par mandir masjid, jagah jagah maikhane hain
hanthon main ab sabke dekhi, apne hi paimane hain

lamha-lamha duniya main halat badalte rehte hain
aaj jo lagte hain apne se asal main vo begane hain

kisko kahiye aur kya kahiye, har ek ka hai haal yahi
jhunton ki sari duniya hai, sachche to deewane hain

dekh rahe hain mehfil main jo apni tirchi nazron se
aisa lagta hai humko ki vo jane-pehchane hain

aur kahan se laye duniya, es duniya main rehna hai
khush rehna hi "shad" hai achcha, baqi sab afsane hain

shriram arora "shad"

No comments: