Sunday, September 28, 2008

nigahe dost bhi dushman hai kya kiya jaye

nigahe dost bhi dushman hai kya kiya jaye
zahan ke pardon main uljhan hai kya kiya jaye

mere masib main kante gul ka naam na do
ulajh ke reh gaya daman hai kya kiya jaye

na pae gham se aama jiteji kabhi humne
ye zindgi hai aawagan hai kya kiya jaye

khushi ka naam jo aaya to aankh bhar aae
zamana samjha sawan hai kya kiya jaye

gale lagana to chaha tha zindgi ko magar
kafan badosh main dulhan hai kya kiya jaye

kanara kar to lun main "niyaz" aaj duniya se
kisi ka hanth main daman hai kya kiya jaye


niyaz " mahobvi"

No comments: