Sunday, September 28, 2008

mujhe to muflisi ne ghar se yoon

mujhe to muflisi ne ghar se yoon be-ghar banaya hai
bajaye moom ke isne mujhe pathar banaya hai

kisi ne hanth beti ke riwazan peele karne ko
bujurgoon ke ye khappar bench ke zebar banaya hai

usi ne aaj bangle shahar main tamir kar dale
hamari cycle ka jisne kal panchar banaya hai

makan mera bane uncha padosi ke makan se bhi
ghinoni sonch ne insan ko badtar banaya hai

vo roti bhi nahin deta hai ab maa baap ko apne
jinhoonne bech kar sab kuch use afsar banaya hai

samajh main kuch nahin aata main aakhir kya kahoon usko
hava ke shahar main kagaz ka jisne ghar banaya hai

muhabbat raas aati hi nahin "rehbar" kabhi hamko
usi ne dil dukhaya hai jise dilbar banaya hai

salim uddin rehbar

No comments: