Sunday, September 28, 2008

ghandhi ne khun-e-dil se

ghandhi ne khun-e-dil se gulshan ko hai sanwara
ghat bar ko lutakar, nehru ne hai nikhara
aankho ki roshni hai gango-jaman ki dhara
kya khoob hai himalaya parvat ka vo nazara
hai jaan se zayada, hamko vatan ye pyara
jannat ka aaina hai, hindostan hamara

gautam ki ye zamin hai, tulsi ka ye vatan hai
meera ki har aada hai, radha ka bankpan hai
banshi baja ke kanha hota yahan magan hai
mandir main jal chadakar, jab aata barhman hai
kehta yahi hai sabse, aakhoon ka hai ye tara
jannat ka aaina hai, hindostan hamara

saudagaroon ke hanthon karte nahin tijarat
ham apni sarhadoon ki karte hai khud hifazat
layengi rang apni, ye bahmi mohabbat
sar kaat lenge uska, jisne bhi ki bagawat
khoon-e-shaidan hamko karta hai ye eshara
jannat ka aaina hai, hindostan hamara

kaliyon main muskurahat, phoolon main sadgi hai
aazadi-e-chaman ki hasil hamain khushi hai
qurbaniyoon se hamko ye roshni mili hai
paigham de raha hai hamko tiranga pyara

jannat ka aaina hai, hindostan hamara

aafaq ahmad

No comments: