Wednesday, September 24, 2008

hey prabhu teri maya

hey prabhu teri maya
kaisa insaan banaya
dekh ke tere bandoon ko
ye banda ghabraya

tune ese ramayan di
tune ese di geeta
phir bhi ye insaan nasamajh
janwaroon sa jita
padhkar ke quraan bhi isne
zulm bahut hai dhaya

hey prabhu teri maya
kaisa insaan banaya

kaun dharam ye kehta hai
dewesh bhav tum rak-kho
mazhab koi nahin kehta
khoon ke swad ko chak-kho
isne khoon ko pani terha
bahut bahaya

hey prabhu teri maya
kaisa insaan banaya

isne krishana ke updesho ko
na samjha na jana
ram ke sandeshon se nadan
bana hai kyo anjana
ise mohammad sahab ne
kya yahi sabaq hai padhaya

hey prabhu teri maya
kaisa insaan banaya

gar ab bhi ye na samjhega
kaun ise samjhayega
khoon ki holi gar khelega
ye bhi usi main jal jayega
ye ram rahim mohammad (sal-llaho) ne
hai barbar batlaya

hey prabhu teri maya
kaisa insaan banaya

hey prabhu teri maya
kaisa insaan banaya
dekh ke tere bandoon ko
ye banda ghabraya

mazhar ali "kasmi"

No comments: