Sunday, September 28, 2008

saqi na de maye mujhko magar etna bata de

saqi na de maye mujhko magar etna bata de
main kaun se dar jaun, jo do ghunt pila de

saqi tere karam pe bada naaz hai hamein
kamil yaqin hai to mujhe kuch iska sila de

saqi teri maye main ajab tasir hai dekhi
quwwat hai zamin aasman ek bar hila de

saqi nahin mayqash, na hoon main rind purana
etna huaa mash-hoor ke har shaks pata de

hai waqt aakhri ab chehra na chupao
aanchal tera lehrae to jannat ki hawa de

mazhar ali "kasmi"

No comments: