Sunday, September 28, 2008

hum se punchoo ke kaise jiya ja raha hai

hum se punchoo ke kaise jiya ja raha hai
zahar mehngaiyon ka piya ja raha hai

rozi roti milegi yahi sochkar
kunch pardesh ko ab kiya ja raha hai

aaj ke rehbaroon par karein kyon yaqin
hum ko dhoke pe dhoke diya ja raha hai

jab ki fatboon se awam jalne lagi
phir bhi fatboon pe fatbe diye ja raha hai

betiyan kokh main mari jane lagin
qatal insaniyat ka kiya ja raha hai

jo girate hain mandir-o-masjid sabhi
unko takhte bharat diya ja raha hai

haq pasandoon ka ab bagiyoon ki tarah
naam bharat main "rehbar" liya ja raha hai

salim uddin "rehbar"

No comments: