Wednesday, September 24, 2008

humko teri deed ka sahara mil gaya

humko teri deed ka sahara mil gaya
hum doob hi jate hamein kinara mil gaya

mil jate hamein takhto taj bhi to kya hota
yadon main teri raat din rota hi rehta
majnu ki tarha mujhko sataya kahin jata
ranjha ki tarha mujhko duboya kahin jata
ji lunga chain se mujhe sahara mil gaya

hum doob hi jate hamein kinara mil gaya

ghut ghut ke jina marna hamne chod diya hai
nakam aashik sa rehna ab chod diya hai
tasveer bana ke teri main pooja karunga
aashiq hun tera aaj bhi aashiq hi rahoonga
jo chand ka chakor ko nazara mil gaya

hum doob hi jate hamein kinara mil gaya

diwana banaya phir bana kar ke mitaya
ye khel tera zalim samajh nahin aaya
karna tha qatal mera kar dete pyar se
laye khizan main pehley nikala bahar se
jata hoon mujhe phesla tumhara mil gaya

hum doob hi jate hamein kinara mil gaya

humko teri deed ka sahara mil gaya
hum doob hi jate hamein kinara mil gaya

mazhar ali "kasmi"

No comments: