Sunday, September 28, 2008

kashmir ko kandhar banaya karo na tum

kashmir ko kandhar banaya karo na tum
bharat se jhoonta pyar jataya karo na tum

ut-thegi jo bhi aankh use phodh denge hum
bharat pe mere aankh uthaya karo na tum

bharat ki aan par to luta dainge jaan tak
humko hamesha khof main laya karo na tum

sholoon ki zad main tum bhi aajaoge isliye
har ek ghar main aag lagaya karo na tum

aisa na ho ki aapke bachche bhi jal uthain
barood ke khiloone banaya karo na tum

na toot jaye aapka har aitmi bharam
sote hue shairoon ko jagaya karo na tum

"rehbar" qalam na beichega sikkon ke vaste
rehbar ko rahe haq se hataya karo na tum

salim uddin "rehbar"

No comments: