Sunday, September 28, 2008

kyon na hangama ek kiya jaye

kyon na hangama ek kiya jaye
koi fatva naya diya jaye

pyase hontoon ki tasalli ke liye
khoon mazlum ka piya jaye

jab zindgi maut ki alamat hai
yar mar-mar ke kyon jiya jaye

nafratein jo mita sake dil ki
ravta usse hi kiya jaye

jisne koi gunah kiya hi nahin
uska phir naam na liya jaye

jo pite kam behakte zayada hain
jaam unko nahin diya jaye

neend aaye na hashar tak "rehbar"
mujhko eisa jaga diya jaye

salim uddin "rehbar"

No comments: