Sunday, September 28, 2008

sochta hoon ke ye karam kyun hai

sochta hoon ke ye karam kyun hai
mere mitne ka unko gham kyun hai

kyun masarrat hai unke aane se
darde dil aaj etna kam kyun hai

jab koi vasta nahin mujhse
meri yadoon main aankh nam kyun hai

tere pehlu main sochta hoon main
raat ki umar etni kam kyon hai

haq bayani se dar gaye jo "shakil"
unke hathoon main phir qalam kyon hai

shakil qureshi jhansivi

No comments: