Sunday, September 28, 2008

maut se yaar zara aankh mila kar dekho

maut se yaar zara aankh mila kar dekho
ekdafa tum bhi to tufan pe chakar dekho

rang layega kisi roz yaqin hai mera
tum zara khoon pasina to bahakar dekho

zindgi kya hai mere yaar samajhne ke liye
tum kabhi shehre-khamooshan main aakar dekho

khoon mera bhi to shamil hai yaar bharat main
khak jalyan ki hathoon main uthakar dekho

zar ki lalach main jalate ho bahu ko apni
apni beti kabhi aagan main jalakar dekho

sar katane ko to aa jayeinge hu bhi aage
sarhadoon se kabhi aawaz lagakar dekho

var karte hai jo chup-chup ke ye "rehbar" mujhpar
unse kehdo ki kabhi samne aakar dekho

salim uddin"rehabar"

No comments: