Sunday, September 28, 2008

kehta hoon main apne dil se

kehta hoon main apne dil se, itna us-se pyar na kar
jisse kehte kehte hara pyar main bhi vyapar na kar

khud soti hai gele main, hum ko nahin jagati hai
mamta ki khatir sehti hai, uus maa ka triskar na kar

bhed bhav ki aag lagake mana roti sik jayegi
tere hath bhi jal jayeinge, phoolon ko angar na kar

tusti tusti chillate ho, halat bad-se-badtar hain
aisi tusti pas main rakh, aur ham ko ab hamvar na kar

tum gate ho geet khushi ke, hum baithe haim hosh havan
phir bhi ham hain harjae, jhoonta ye ilzam na dhar

hum dete paigham pyar ka, pyar hi hamne sikha hai
"mazhar" keh do manlain vo, es bat se to inkar na kar

mazhar ali "kasmi"

No comments: