Sunday, September 28, 2008

har aadmi hairan hai roti ki badaulat

har aadmi hairan hai roti ki badaulat
tuch hai koi mahan hai roti ki badaulat

insan hi insan ki karta hai gulami
bigra huaa kajan hai roti ki badulat

afsar hai koi-koi kuli koi watchman
naukar har ek jawan hai roti ki badulat

baste main boot polish ka saman rakh liya
usne kitab baich di roti ki badaulat

kal raat ko futpath pe jo lash mili thi
un sab ki gae jan hai roti ki badaulat

karne laga vo baith ke fatvo ki tijarat
khatre main ab eman hai roti ki badaulat

"rehbar" pe khuda tere bada rehmokaram hai
ye sahibe eman hai roti ki badaulat

samil uddin "rehbar"

No comments: