Thursday, September 25, 2008

ye wajhe dushmani kya hai,

ye wajhe dushmani kya hai, na tum smajhe na hum samjhe
ke hum tum main kami kya hai, na tum smajhe na hum samjhe

samjhte to bahut kuch dur ho jati ghalat fehmi
haqiqat waqae kya hai, na tum smajhe na hum samjhe

tumhain bhi badgumani hai humein bhi hai shubha tumpar
ye range dosti kya hai, na tum smajhe na hum samjhe

andhere dur ho sakte dilon ki badgumani ke
yaqin ki roshni kya hai, na tum smajhe na hum samjhe

hum uljhe hi rahe in kaba kashi ke jhagdoon main
ye tarze bandgi kya hai, na tum smajhe na hum samjhe

kashfi jhanswi

No comments: