Sunday, September 28, 2008

ranginiyoon ko chhod madine ko jayeinge

ranginiyoon ko chhod madine ko jayeinge
kabe main sar madine main dil ko jhukainge

humko khuda ne kash bulaya to dekhna
hum bhi utha ke khaq madine ki layeinge

din raat jahan noor ki barish ka chalan hai
ek din to hum bhi uus daare aqdas pe jayeinge

hai rozaye sarkar pe jane ki tammanna
jakar daare rasool pe kuch gidgidaeinge

jab hum ko gher legi zamanein ki aafatein
kagaz pe hum to gumbade khijran banayeinge

haan aale ibrahim vala aale ibrahim
ye barha zaban se hum padte jayeinge

jis rooz bhi bulaeinge sarkare madina
"rehbar" bhi hanste-hanste dilo jaan luteinge

salim uddin "rehbar"

No comments: