Friday, September 26, 2008

bhool jaunga tujhko na yaad karoonga

bhool jaunga tujhko na yaad karoonga
na tujhse milne main kabhi faryad karoonga

na to khayaloon main arman sajaoonga main
na khwaboon main dulhan banaoonga main
khoon kar doon apni mohabbat ka main
ghont doonga gala apni chahat ka main
dil ki basti ko na kabhi aabad karoonga

na tujhse milne main kabhi faryad karoonga

vade vafa karoonga qasmain nibhaunga
sadqe main tere apni main jaan gawaoonga
tu muskuraegi to main muskuraoonga
varna ghamein dariya main, main doob jaoonga
tere liye sukun-o-aman barbaad karoonga

na tujhse milne main kabhi faryad karoonga

rahe vafa se kante chun-chun ke uthaoonga
daman ko tar-tar phool bichaoonga
duniya lutake apni bas ek jhalak paoonga
tab zindgi bemani phir jeena nahin chahoonga

na tujhse milne main kabhi faryad karoonga

bhool jaunga tujhko na yaad karoonga
na tujhse milne main kabhi faryad karoonga

mazhar ali "kasmi"

No comments: