Sunday, September 28, 2008

uus rab ne banaya es dil ko

uus rab ne banaya es dil ko, kaisa vo karigar hai
phir es dil main uuse basaya, kaisa vo karigar hai

pyar, mohabbat, nafrat aur ishq banaya uus rab ne
uska dil dharka tab mera dil dharkaya uus rab ne
kisi ko khushayan kisi ko aansu kisi ko sab kuch ada kiya
apni taqat ka aise ahsas karaya uus rab ne
mitti ko mitti main milaya, kaisa vo karigar hai

phir es dil main uuse basaya, kaisa vo karigar hai

kisi ke dil nafrat bharta, kisi ki dil main dheiroon pyar
kisi ke dil main aag lagata, kisi ko deta sukun bahar
kisi ke dil ko rahat deta, nahin kisi ko chain qarar
kisi ko rakhta juda-juda, kisi ko milta har pal yaar
teer bana, marham bhi banaya, kaisa vo jaduhar hai

phir es dil main uuse basaya, kaisa vo karigar hai

kokh main sanse bakhshi usne, bakhsha humko roop nikhar
jhuka ke sar ko ada karein shukr hazaroon hazar bar
mano to ahsan hai uska na mano to hatdharmi
na deta to kya hota, sardi barkha aur garmai
zamin bana asman banaya, kaisa vo karigar hai

phir es dil main uuse basaya, kaisa vo karigar hai

uus rab ne banaya es dil ko, kaisa vo karigar phir es dil main uuse basaya, kaisa vo karigar hai

mazhar ali "kasmi"

No comments: