Sunday, September 28, 2008

jo ki taroon ke khwab bunta hai

jo ki taroon ke khwab bunta hai
vo hi taroon talak pahunchta hai

aag hogi jahan, hamesha hi
uus jagha hi duaan nikalta hai

ho ki jugnu ya chand suraj vo
waqt har ek ka badalta hai

rakh main ho ya ho anguthi main
sona har hal main chamakta hai

kitne uthte hain samandar se par
sirf badal ghana barasta hai

sushil sarit

No comments: