Sunday, September 28, 2008

aaya jahan main aadmi mehman ki tarh

aaya jahan main aadmi mehman ki tarh
vyavhar kar raha hai par, sultan ki tarh

jab kuch hunar hai paas main, to sab ko bantye
phoolon se mehakte hue guldan ki tarh

mazlum hai duniya main jo unki bhi ho fikar
jeene ka haq unhain bhi hai, insan ki tarh

umre-daraz baap ko bahar na phenkye
bekar ho gaye kisi saman ki tarh

iski khabar nahin hai ki kal dhor ho kahan
mele main aae aarzi dukan ki tarh

aao to aana bagh main thandi bayar si
bachchon ke munh main terti muskan ki tarh

"aadab" jante hue, duniya ke chalan ko
dete ho kyon nasihatein, nadan ki tarh

kanhaiya lal agrawal "aadab"

No comments: