Sunday, September 28, 2008

apne gaon ki mitti se

aapne gaon ki mitti se mujhe khushboo aati hai
ye bachpan aur mere pyar ki yaad dilati hai

kahin kisi ke dil main aaj bhi meri chahat hogi
maine bhi uese yaad kiya ye meri ibadat hogi
uske pyar ki khushboo mera tan man mehkati hai
aahat uske qadmoon ki mera dil dhadkati hai

ye bachpan aur mere pyar ki yaad dilati hai

uske rang main rang jane ki hasrat aaj bhi hai dil main
hokar qatal bhi khush hoon main, kuch khubu hogi qatil main
aise main vo khush hi hoga, bhale naraz ho batil main
main har dard sahan kar loonga, kuch nahin chahiye shamil main
ek tees uuthi hai es dil main jo mehfil naee sajati hai

ye bachpan aur mere pyar ki yaad dilati hai

main es dil ke hantho main majboor huaa hoon uus din se
bahut hua mashhoor main jab chain kho gaya es man se
ye mehfil suni lagti hai aur suna gaon chobara bhi
main aa gaya es bar yahan, ab aana nahin dobara bhi
hain charche mere har zaban pe, gali-gali batlati hai

ye bachpan aur mere pyar ki yaad dilati hai

aapne gaon ki mitti se mujhe khushboo aati hai
ye bachpan aur mere pyar ki yaad dilati hai

mazhar ali "kasmi"

No comments: