Sunday, September 28, 2008

ghataein uthin auut se parwaton ke

ghataein uthin auut se parwaton ke
faza dhire dhire khunaq ho gaye hai
hasin surmae abr ki gagron se
ye fitrat bisate zamin ho gaye hai

bahut dur tak silsile parwaton ke
yoon charon taraf hain hasin vadiyon ke
kisi khubsurat se shahi mahal main
muhafiz hoon jis tarha shehzadion ke

ye shadab vadi ki khamoshiyon main
koi mutriba gungunati ho jaise
hara shal audhe hue koi devi
bahut dur par muskurati ho jaise

yoon barish ki bundon ne jadu jagaya
dehakne lage sabz va shadab gulshan
faza main ghuli bhigi bhigi si khushbu
mehakne lage hain hawaoon ke daman

simitne lagi raat ki jab siyahi
ubharne lage halke halke se saye
ke ghunghat main dulhan koe muskuraye

bahut juustju ki yahan humnavan ki
bahut mainne awaz di zindgi ko
magar be ta-al-luq hai duniya yahan ki
kisi ki khabar hi nahin hai kisi ko

kashfi jhanswi

No comments: