Thursday, September 25, 2008

tamam umar ek shaks ki nazar karke

tamam umar ek shaks ki nazar karke
aap bhi dekhiye pyar es qadar karke

unhi ki chav tale hogi zindgi roshan
rakh lijiye buzurgon ko shajar karke

mujhko aanchal main chupa ke thapkiyan de de
maa main thak gaya hoon lamba safar karke

uun parindon ki parwaz ko samjhe koi
udte phire jo honslon ko par karke

gar zamane ki gut-thi suljhani ho kabhi
rahiyega usi sanche main dhal karke

sach bolta hai vo gunhagar hai "nazir"
rakhte hain log uuse dar badar karke

nazir ahmad ansari "nazir"

No comments: