Sunday, September 28, 2008

kuch hasane wale hain

kuch hasane wale hain, kuch rulane wale hain
har qadam pe duniya main aazmane wale hain

hum hain meel ka paththar bolte nahin kuch bhi
kitni door manzil hai ye batane wale hain

hum kahan hai kaise hai kuch pata nahin humko
ped hum nahin ginte aam khane wale hain

hum tumhare mazi ka ishatehar hai logon
hum ko sath main rakhna kam aane wale hain

shafkon ke saye main zindgi guzari hai
hum badon ki azmat ke geet gane wale hain

aap en safino ka etbar mat karna
ye safine kuch din main doob janewale hain

timtimate taroon ka hashar jane kya hoga
ban ke chand sooraj hum jagmagane wale hain

hum "ghulam" kya rukte chaldiye gazal padkar
log unki mahfil main aanejane wale hain

Gulam Rasool Kemoori

No comments: