Sunday, September 28, 2008

kaise ban jaye parsa koi

kaise ban jaye parsa koi
keh raha jab bura-bura koi

vo to hosho havas kho baithe
unko daman ki de hava koi

chahta hoon ki dushmano ke khilaf
faislakun ho faisla koi

kan uske hava ne phoonke hai
uthne vala hai mudduaa koi

jo safina mera duboya gaya
uska mujrim hai nakhuda koi

meri turbat pe fataha padhkar
kar gaya apna haq ada koi

baad sadiyoon ke aaj to "rehbar"
zakhme dil kar gaya hara koi

salim uddin "rehbar"

No comments: