Friday, September 26, 2008

besharam go gaya hai

besharam ho gaya hai bahut aaj zamana
na sharo haya hai koi na koi lajana

aurat ke sar se laaj ka ghunghat utar gaya
vo roop sita wala jane kidhar gaya
majboriyan batati hai karti hai bahana

aati nahin hai sharam giratin hai bijliyan
sadkoon pe nachti hain behnein-o-betiyan
aur loog maza lete hain ga ga ke tarana

na sharo haya hai koi na koi lajana

ab maa ki goud main nahin palte koi bhi lal
na doodh pila sakne ka hota hai kuch malal
ga ga ke loriyan nahin aata hai sulana

na sharo haya hai koi na koi lajana

besharam ho gaya hain bahut aaj zamana
na sharo haya hai koi na koi lajana

mazhar ali "kasmi"

No comments: