Sunday, September 28, 2008

mujhko khushiyan na de sare sansar ki

mujhko khushiyan na de sare sansar ki
sirf khwahish hai dil ko tere pyar ki

main to nadan hoon khud se anjan hoon
teri chahat main behad pareshan hoon
geet tere hamein ab to bhane lage
sazedil par enhein gungunane lage
dekh halat kabhi apne bimar ki

sirf khwahish hai dil ko tere pyar ki

ji to karta hai bahoon main teri rahoon
dil ki har baat main sirf tujh se kahun
mujhse milne ki tujhko to fursat nahin
aisa lagta hai mujhse muhabbat nahin
laj rakhle sanam mere shringar ki

sirf khwahish hai dil ko tere pyar ki

mujhko tanhaiyoon ke ye lamhe dasein
hal par ab mere-mere apne hasein
aa bhi ja, aa bhi ja aaj mere sanam
tujhko meri qasam, tujhko meri qasam
"neha" pyasi hai bas tere didar ki

mujhko khushiyan na de sare sansar ki
sirf khwahish hai dil ko tere pyar ki

neha chachara

No comments: