Sunday, September 28, 2008

karke bharosa jisko pukara tha dosto

karke bharosa jisko pukara tha dosto

khanjar usi ne phith pe mara tha dosto

bhagwan bhi insan se sharminda ho gaya

insan ko jab insan ne mara tha dosto

jisne vatan ke vaste sar tak kata liya

vo honsla lahu bhi hamara tha dosto

bazi laga ke jaan ki bharat bacha liya

jab sarhadoon ne humko pukara hai dosto

bheja tha jab muhaz pe maa ne hamid ko

kya dil hilane vala nazara tha dosto

ashfaq ne phansi ko gale apne lagakar

bharat ka karz sar se utara tha dosto

"rehbar" ki hasratoon ko vahin doobna pada

qashti se jab qarib kinara tha dosto

salim uddin"rehbar"

No comments: