Thursday, September 25, 2008

suna hai aisa bhi ek hadsa hua koe

suna hai aisa bhi ek hadsa hua koe
chaman main phool ke chune se jal gaya koe

wo jiske husn ka charcha tha sare gulshan main
wo phool nazishe fasle bahar tha koe

na waqt se hai shikayat na zindgi se gila
waraq nasib ka apni palat gaya koe

mita ke bhed mohabbat main guftgu to karein
nikal hi aayega puraman rasta koe

diya hai dil to dahan main zaban bhi dena
rahe na aap se mehrume iltija koe

janabe khizr zara ye bataeye mujhko
fareb zada hasti se bhi bacha koe

kashfi jhanswi

No comments: